is ki packaging simple hai ... dono ends pe brush protectors bhi atay hain plastic k.. packaging ki back pe kuch using tips bhi diay gaye hain keh ap is se kaise eyeshadow smudge kar skte hain sath he outline brush se kaise ap lips per bhi use kar skte hain
yeh outliner ki side hai jo k hard sponge ki tarha ki c hai ap is se eyes k neeche eyeshadow apply karne k liay use kar skte hain
yeh smudge brush hai lekin main isay eyeshadow apply karne k liay istemal karti hun kiu k meri monolids hain .. smudging bhi achi hojati hai .. isk bristles tight and soft hain
Mera Nazareeiya:
Ager ap aik acha branded brush dhoond rahay hain to yeh aik achi option hai
sasta honay k sath sath ye multipurpose brush bhe hai ..
yeh apko kisi bhi borhouis k counter se miljaega ..yeh maine SCENTSATION Hyperstar LAhore se khareeda hai.. jiski qeemat taqreeban rs.250-300 k lag bhag hai (mujhay exact yaad nahi kiu k kafi cheezon k sath lia tha)
Apnay comments zaroor dijayay ga .
FEH AMAANALLAH
Xoxoxo
0 comments:
Post a Comment